kaisi mahak kahan ka koi phul bagh mein
kaisī mahak kahāñ kā koī phuul baaġh meñ
bas rang-e-bevafā.ī hai maqbūl baaġh meñ
āñkhoñ pe haath rakh ke nikalnā paḌā mujhe
ik yaad ne uḌaa.ī bahut dhuul baaġh meñ
titlī ko Dhalte dekhnā jugnū ke ruup meñ
merā yahī hai roz kā ma.amūl baaġh meñ
jaane vo husn thā ki havas thī nigāh meñ
har chehra lag rahā thā mujhe phuul baaġh meñ
'āsim' risāla-hā-e-gul-o-barg-o-bār dekh
qudrat ne khol rakkhā hai schōl baaġh meñ
kaisi mahak kahan ka koi phul bagh mein
bas rang-e-bewafai hai maqbul bagh mein
aankhon pe hath rakh ke nikalna paDa mujhe
ek yaad ne uDai bahut dhul bagh mein
titli ko Dhalte dekhna jugnu ke rup mein
mera yahi hai roz ka mamul bagh mein
jaane wo husn tha ki hawas thi nigah mein
har chehra lag raha tha mujhe phul bagh mein
'asim' risala-ha-e-gul-o-barg-o-bar dekh
qudrat ne khol rakkha hai school bagh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.