kaisi mahfil mein ai dil tujhko laya hun dekh zara
kaisi mahfil mein ai dil tujhko laya hun dekh zara
Basir Sultan Kazmi
MORE BYBasir Sultan Kazmi
kaisī mahfil meñ ai dil tujh ko laayā huuñ dekh zarā
maiñ ne tere aish karā.e ab tū mere aish karā
lagtā hai ye nāseh bhī hai jin kī tarah kī koī chiiz
yak dam aa dhamkegā kahīñ se jūñhī maiñ ne jaam bharā
gaaḌī kī raftār bhī tez hai rasta bhī hai nā-hamvār
dhīre dhīre shānt huā huuñ pahle to maiñ bahut Darā
apnī mahārat par tujh ko bejā to na hogā itnā maan
maiñ bhī maan hī lūñgā tujh ko lekin khel ke mujhe harā
apne hāl-e-zabūñ kā maiñ taqdīr pe dhartā thā ilzām
ab mālūm huā 'bāsir' ye sab hai terā kiyā-dharā
kaisi mahfil mein ai dil tujh ko laya hun dekh zara
main ne tere aish karae ab tu mere aish kara
lagta hai ye naseh bhi hai jin ki tarah ki koi chiz
yak dam aa dhamkega kahin se junhi main ne jam bhara
gaDi ki raftar bhi tez hai rasta bhi hai na-hamwar
dhire dhire shant hua hun pahle to main bahut Dara
apni mahaarat par tujh ko beja to na hoga itna man
main bhi man hi lunga tujh ko lekin khel ke mujhe hara
apne haal-e-zabun ka main taqdir pe dharta tha ilzam
ab malum hua 'basir' ye sab hai tera kiya-dhara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.