kaisi nazron se takte ho tum bhi na
kaisī nazroñ se takte ho tum bhī nā
phir anjān se ban jaate ho tum bhī nā
vasl kī ḳhvāhish se labrez tumhārā dil
phir bhī jaane kā kahte ho tum bhī nā
jazboñ kā tūfān chhupā hai siine meñ
lekin phir bhī chup rahte ho tum bhī nā
dil kī baat laboñ par le aate ho tum
lekin baat badal dete ho tum bhī nā
shā.era hone par tum mere ḳhush nahīñ par
dil hī dil meñ ḳhush hote ho tum bhī nā
jaane vaalā aa nahīñ saktā pata bhī hai
phir bhī rasta dekh rahe ho tum bhī nā
andar kā pighlāv aañkh se bah niklā
lekin patthar bane hue ho tum bhī nā
kaisi nazron se takte ho tum bhi na
phir anjaan se ban jate ho tum bhi na
wasl ki KHwahish se labrez tumhaara dil
phir bhi jaane ka kahte ho tum bhi na
jazbon ka tufan chhupa hai sine mein
lekin phir bhi chup rahte ho tum bhi na
dil ki baat labon par le aate ho tum
lekin baat badal dete ho tum bhi na
shaera hone par tum mere KHush nahin par
dil hi dil mein KHush hote ho tum bhi na
jaane wala aa nahin sakta pata bhi hai
phir bhi rasta dekh rahe ho tum bhi na
andar ka pighlaw aankh se bah nikla
lekin patthar bane hue ho tum bhi na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.