kaisi ye afsurdagi hai aaj-kal
kaisī ye afsurdagī hai āj-kal
zindagī meñ kuchh kamī hai āj-kal
chāñd kī āvārgī se chāñdnī
sog meñ Duubī huī hai āj-kal
chal banā.eñ āshiyāñ us paar ham
raat mujh se kah rahī hai āj-kal
kyā sabab hai dhuup hai sahmī huī
pattharoñ par bhī namī hai āj-kal
taḌpannoñ meñ haiñ ġhazab bechainiyāñ
detā is had tishnagī hai āj-kal
jī rahā huuñ maut kī ḳhvāhish liye
ziist merī dīdanī hai āj-kal
vo sharāfat jo kabhī anmol thī
kauḌiyoñ meñ bik rahī hai āj-kal
zulmatoñ kā daur bhī ye kab talak
raushnī bhī mar rahī hai āj-kal
ziist kī majbūriyāñ mat pūchhiye
saath mere chal rahī hai āj-kal
aa rahī hai phir chunāv kī ḳhabar
shahr bhar meñ ḳhāmushī hai āj-kal
kaun ab vāqif hai apne aap se
aadmī kab aadmī hai āj-kal
kaisi ye afsurdagi hai aaj-kal
zindagi mein kuchh kami hai aaj-kal
chand ki aawargi se chandni
sog mein Dubi hui hai aaj-kal
chal banaen aashiyan us par hum
raat mujh se kah rahi hai aaj-kal
kya sabab hai dhup hai sahmi hui
pattharon par bhi nami hai aaj-kal
taDpannon mein hain ghazab bechainiyan
deta is had tishnagi hai aaj-kal
ji raha hun maut ki KHwahish liye
zist meri didani hai aaj-kal
wo sharafat jo kabhi anmol thi
kauDiyon mein bik rahi hai aaj-kal
zulmaton ka daur bhi ye kab talak
raushni bhi mar rahi hai aaj-kal
zist ki majburiyan mat puchhiye
sath mere chal rahi hai aaj-kal
aa rahi hai phir chunaw ki KHabar
shahr bhar mein KHamushi hai aaj-kal
kaun ab waqif hai apne aap se
aadmi kab aadmi hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.