Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaisi ye afsurdagi hai aaj-kal

Ashok Goyal Ashok

kaisi ye afsurdagi hai aaj-kal

Ashok Goyal Ashok

MORE BYAshok Goyal Ashok

    kaisī ye afsurdagī hai āj-kal

    zindagī meñ kuchh kamī hai āj-kal

    chāñd āvārgī se chāñdnī

    sog meñ Duubī huī hai āj-kal

    kyā sabab hai dhuup hai sahmī huī

    pattharoñ par bhī namī hai āj-kal

    vo sharāfat jo kabhī anmol thī

    kauḌiyoñ meñ bik rahī hai āj-kal

    aa rahī hai phir chunāvoñ ḳhabar

    shahr-bhar meñ ḳhāmushī hai āj-kal

    kaun ab vāqif hai apne aap se

    aadmī kab aadmī hai āj-kal

    kaisi ye afsurdagi hai aaj-kal

    zindagi mein kuchh kami hai aaj-kal

    chand ki aawargi se chandni

    sog mein Dubi hui hai aaj-kal

    kya sabab hai dhup hai sahmi hui

    pattharon par bhi nami hai aaj-kal

    wo sharafat jo kabhi anmol thi

    kauDiyon mein bik rahi hai aaj-kal

    aa rahi hai phir chunawon ki KHabar

    shahr-bhar mein KHamushi hai aaj-kal

    kaun ab waqif hai apne aap se

    aadmi kab aadmi hai aaj-kal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now