kal jinhen zindagi thi ras bahut
kal jinheñ zindagī thī raas bahut
aaj dekhā unheñ udaas bahut
raftagāñ kā nishāñ nahīñ miltā
ik rahī hai zamīn ghaas bahut
kyuuñ na ro.uuñ tirī judā.ī meñ
din guzāre haiñ tere paas bahut
chhāñv mil jaa.e dāman-e-gul kī
hai ġharībī meñ ye libās bahut
vādī-e-dil meñ paañv dekh ke rakh
hai yahāñ dard kī ugaas bahut
sūkhe pattoñ ko dekh kar 'nāsir'
yaad aatī hai gul kī baas bahut
kal jinhen zindagi thi ras bahut
aaj dekha unhen udas bahut
raftagan ka nishan nahin milta
ek rahi hai zamin ghas bahut
kyun na roun teri judai mein
din guzare hain tere pas bahut
chhanw mil jae daman-e-gul ki
hai gharibi mein ye libas bahut
wadi-e-dil mein panw dekh ke rakh
hai yahan dard ki ugas bahut
sukhe patton ko dekh kar 'nasir'
yaad aati hai gul ki bas bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.