kal ḳhvāb meñ ik parī milī thī
ik bose ke ba.ad uḌ ga.ī thī
maiñ us ke liye dhanak banā thā
vo aur hī rañg DhūñDhtī thī
devī thī jise maiñ pūjtā thā
vo aur kisī ko sochtī thī
maiñ rāh-e-gunāh par chalā thā
is raah meñ kaisī tīrgī thī
chhe rāste vaañ nikal rahe the
ik samt zarā sī raushnī thī
āḳhir maiñ duā meñ Dhal chukā thā
duniyā mujhe aa ke dekhtī thī
kal KHwab mein ek pari mili thi
ek bose ke baad uD gai thi
main us ke liye dhanak bana tha
wo aur hi rang DhunDhti thi
dewi thi jise main pujta tha
wo aur kisi ko sochti thi
main rah-e-gunah par chala tha
is rah mein kaisi tirgi thi
chhe raste wan nikal rahe the
ek samt zara si raushni thi
aaKHir main dua mein Dhal chuka tha
duniya mujhe aa ke dekhti thi
- Book : Aankh Bhar Tamasha Hai (Pg. 38)
- Author : Ahmad Ata
- Publication : Sanjh Publications (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.