Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal munj wazir dil the qasid bashaarat aaya

Quli Qutub Shah

kal munj wazir dil the qasid bashaarat aaya

Quli Qutub Shah

MORE BYQuli Qutub Shah

    kal munj vazīr dil the qāsid bashārat aayā

    hazrat-e-sulaimāñ kan the ishārat aayā

    ḳhush-nain niir setī tan ḳhaak kuuñ galāvo

    dil ke mañdhir kuuñ sir the vaqt-e-imārat aayā

    merā sau aib Dhāñko ai mai suuñ bhīge kapḌe

    o pāk-dāman aapī hamnā bachārat aayā

    munj yaar husn the je bole haiñ bātāñ behad

    yak baab hai so un meñ jo is ibārat aayā

    jaagā so har yakas hovegā aaj pragaT

    o chhand bhryā so chandā baiThan sadārat aayā

    jam ke so taḳht uupar je taaj suur chand hai

    chimTe dekho himmat jo is haqārat aayā

    us shoḳh diid the yuuñ īmāñ apas sambhāleñ

    o sāhir-e-kamāñ-dār karne so ġhārat aayā

    'qubtā' tuuñ daas shah jam faiz us the māñgeñ

    saudā hai tuj param sab vaqt-e-tijārat aayā

    kal munj wazir dil the qasid bashaarat aaya

    ya hazrat-e-sulaiman kan the ishaarat aaya

    KHush-nain nir seti tan KHak kun galawo

    dil ke mandhir kun sir the waqt-e-imarat aaya

    mera sau aib Dhanko ai mai sun bhige kapDe

    o pak-daman aapi hamna bachaarat aaya

    munj yar husn the je bole hain baatan behad

    yak bab hai so un mein jo is ibarat aaya

    jaga so har yakas ka howega aaj pragaT

    o chhand bhrya so chanda baiThan sadarat aaya

    jam ke so taKHt upar je taj sur chand hai

    chimTe ki dekho himmat jo is haqarat aaya

    us shoKH did the yun iman apas sambhaalen

    o sahir-e-kaman-dar karne so ghaarat aaya

    'qubta' tun das shah ka jam faiz us the mangen

    sauda hai tuj param sab waqt-e-tijarat aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now