kal na badlā vo aaj badlegā
vaqt apnā mizāj badlegā
aadmī ke yahāñ talāsh karo
aadmī hī samāj badlegā
phūl-mālā bane rahe jo tum
kaise kāñToñ kā raaj badlegā
vahī afsar vahī chaprāsī
kaise sab kām-kāj badlegā
vo jo ḳhud ko badal nahīñ saktā
vo bhalā kyā rivāj badlegā
rog baḌhtā hī jā rahā hai dost
jaane vo kab ilaaj badlegā
kal na badla wo aaj badlega
waqt apna mizaj badlega
aadmi ke yahan talash karo
aadmi hi samaj badlega
phul-mala bane rahe jo tum
kaise kanTon ka raj badlega
wahi afsar wahi chaprasi
kaise sab kaam-kaj badlega
wo jo KHud ko badal nahin sakta
wo bhala kya riwaj badlega
rog baDhta hi ja raha hai dost
jaane wo kab ilaj badlega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.