kal raat jagmagata hua chand dekh kar
kal raat jagmagātā huā chāñd dekh kar
saa.e nikal paḌe the badan se idhar udhar
darvāza band kar ke bahut ḳhush huā thā maiñ
koThe phalāñgne lagīñ rusvā.iyāñ magar
maiñ Dūbne gayā to kinārā pukār uThā
ye ḳhvāb to nahīñ hai pa sāhab idhar kidhar
mātam bhī ho hī jā.egā mar ke to dekhiye
itne bahut se log haiñ itne bahut se ghar
'alvī' ġhazal to kahne chale ho na.ī magar
rakh do na tum ḳhayāl ke baḳhiye adheḌ kar
kal raat jagmagata hua chand dekh kar
sae nikal paDe the badan se idhar udhar
darwaza band kar ke bahut KHush hua tha main
koThe phalangne lagin ruswaiyan magar
main Dubne gaya to kinara pukar uTha
ye KHwab to nahin hai pa sahab idhar kidhar
matam bhi ho hi jaega mar ke to dekhiye
itne bahut se log hain itne bahut se ghar
'alwi' ghazal to kahne chale ho nai magar
rakh do na tum KHayal ke baKHiye adheD kar
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 105)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.