kal raat mere sath ajab hadisa hua
kal raat mere saath ajab hādisa huā
sūraj pighal ke merī hathelī pe aa girā
dekhe haiñ merī āñkhoñ ne manzar ajab ajab
ik peḌ mere shahr kā sāyoñ ko khā gayā
sahrā meñ aab aur samundar meñ ret hai
yā-rab maiñ aaj kaun sī duniyā meñ aa gayā
kaisā tamāsha dekhā thā ham ne ye raat bhar
taare chamak rahe the magar āsmāñ na thā
rahzan to ḳhud hī Dar ke guphāoñ meñ chhup ga.e
ab rāh-rau ko lūTtā phirtā hai rāstā
in sā.atoñ ko sub.h kaheñ bhī to kis tarah
sūraj ugā huā thā añdherā chhaTā na thā
bādal baras rahe haiñ musalsal magar 'ḳhumār'
dariyā tamām ḳhushk haiñ jharnoñ ko kyā huā
kal raat mere sath ajab hadisa hua
suraj pighal ke meri hatheli pe aa gira
dekhe hain meri aankhon ne manzar ajab ajab
ek peD mere shahr ka sayon ko kha gaya
sahra mein aab aur samundar mein ret hai
ya-rab main aaj kaun si duniya mein aa gaya
kaisa tamasha dekha tha hum ne ye raat bhar
tare chamak rahe the magar aasman na tha
rahzan to KHud hi Dar ke guphaon mein chhup gae
ab rah-rau ko luTta phirta hai rasta
in saaton ko subh kahen bhi to kis tarah
suraj uga hua tha andhera chhaTa na tha
baadal baras rahe hain musalsal magar 'KHumar'
dariya tamam KHushk hain jharnon ko kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.