kal se dil-e-bimar ki haalat nahin achchhi
kal se dil-e-bimar ki haalat nahin achchhi
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
kal se dil-e-bīmār kī hālat nahīñ achchhī
allāh kare ḳhair ho sūrat nahīñ achchhī
us shoḳh se milne kī ye sūrat nahīñ achchhī
maut achchhī magar ġhair kī minnat nahīñ achchhī
maiñ āshiq-e-gesū huuñ bahaltā hai yahīñ dil
kyūñkar ye kahūñ qabr kī vahshat nahīñ achchhī
dekho ki gale milte hī sar kāTtī hai teġh
sach kahte haiñ zālim kī mohabbat nahīñ achchhī
kah kar kamar-e-yār ko mādūm hue ġham
har jā pe tabī.at kī bhī jaudat nahīñ achchhī
qātil tujhe degā lab-e-har-zaḳhm duā.eñ
har-vaqt namak Daal ye ḳhissat nahīñ achchhī
ai shaiḳh na kar shauq meñ hūroñ kī ibādat
hargiz na mileñgī tirī niyyat nahīñ achchhī
ye kah ke lahad merī vo kar jaate haiñ pāmāl
phir is ko banāo ki ye turbat nahīñ achchhī
ik aib bhī hai husn ke hamrāh butoñ meñ
sūrat agar achchhī hai to sīrat nahīñ achchhī
hai hai tujhe kis zālim-e-be-rahm ne rauñdā
hālat jo tirī sabza-e-turbat nahīñ achchhī
kyoñ tuur sharār-e-ruḳh-e-raushan se jalā.e
kah de koī un se ye sharārat nahīñ achchhī
jaate hī tire chhā ga.ī ghar bhar meñ udāsī
maiñ kyā dar-o-dīvār kī hālat nahīñ achchhī
ushshāq ko vo dekhte haiñ chashm-e-ġhazab se
ik mus.haf-e-ruḳh meñ yahī sūrat nahīñ achchhī
paidā karo andāz na.e taaza adā.eñ
zulm-o-sitam-o-jaur meñ jiddat nahīñ achchhī
maiñ ne jo kahā ranj hai kyā marg-e-adū kā
bole ki nahīñ merī tabī.at nahīñ achchhī
ai dīda-e-tar ro ki kaTeñ hijr kī rāteñ
barsāt meñ paanī kī ye qillat nahīñ achchhī
gherā jo mujhe dā.era-e-ranj-o-alam ne
kyā mere muqaddar kī kitābat nahīñ achchhī
ai 'bazm' uThā kartā hai kyoñ dard jigar meñ
sach kah kise dekhā ki tabī.at nahīñ achchhī
kal se dil-e-bimar ki haalat nahin achchhi
allah kare KHair ho surat nahin achchhi
us shoKH se milne ki ye surat nahin achchhi
maut achchhi magar ghair ki minnat nahin achchhi
main aashiq-e-gesu hun bahalta hai yahin dil
kyunkar ye kahun qabr ki wahshat nahin achchhi
dekho ki gale milte hi sar kaTti hai tegh
sach kahte hain zalim ki mohabbat nahin achchhi
kah kar kamar-e-yar ko madum hue gham
har ja pe tabiat ki bhi jaudat nahin achchhi
qatil tujhe dega lab-e-har-zaKHm duaen
har-waqt namak Dal ye KHissat nahin achchhi
ai shaiKH na kar shauq mein huron ki ibaadat
hargiz na milengi teri niyyat nahin achchhi
ye kah ke lahad meri wo kar jate hain pamal
phir is ko banao ki ye turbat nahin achchhi
ek aib bhi hai husn ke hamrah buton mein
surat agar achchhi hai to sirat nahin achchhi
hai hai tujhe kis zalim-e-be-rahm ne raunda
haalat jo teri sabza-e-turbat nahin achchhi
kyon tur sharar-e-ruKH-e-raushan se jalae
kah de koi un se ye shararat nahin achchhi
jate hi tere chha gai ghar bhar mein udasi
main kya dar-o-diwar ki haalat nahin achchhi
ushshaq ko wo dekhte hain chashm-e-ghazab se
ek mushaf-e-ruKH mein yahi surat nahin achchhi
paida karo andaz nae taza adaen
zulm-o-sitam-o-jaur mein jiddat nahin achchhi
main ne jo kaha ranj hai kya marg-e-adu ka
bole ki nahin meri tabiat nahin achchhi
ai dida-e-tar ro ki kaTen hijr ki raaten
barsat mein pani ki ye qillat nahin achchhi
ghera jo mujhe daera-e-ranj-o-alam ne
kya mere muqaddar ki kitabat nahin achchhi
ai 'bazm' uTha karta hai kyon dard jigar mein
sach kah kise dekha ki tabiat nahin achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.