kal shab qasam KHuda ki bahut Dar laga hamein
kal shab qasam ḳhudā kī bahut Dar lagā hameñ
ik zalzala vajūd ke andar lagā hameñ
aisā na ho ki Dhang hī uḌne kā bhuul jaa.eñ
sayyād ek din ke liye par lagā hameñ
aate dinoñ meñ terā havāla to ban sakīñ
katba banā ke qabr ke uupar lagā hameñ
us kā firāq itnā baḌā sāneha na thā
lekin ye dukh pahāḌ barābar lagā hameñ
kal ā.inoñ ne rok ke mujh se kahā 'hasan'
kuchh din hisār-e-zāt se bāhar lagā hameñ
kal shab qasam KHuda ki bahut Dar laga hamein
ek zalzala wajud ke andar laga hamein
aisa na ho ki Dhang hi uDne ka bhul jaen
sayyaad ek din ke liye par laga hamein
aate dinon mein tera hawala to ban sakin
katba bana ke qabr ke upar laga hamein
us ka firaq itna baDa saneha na tha
lekin ye dukh pahaD barabar laga hamein
kal aainon ne rok ke mujh se kaha 'hasan'
kuchh din hisar-e-zat se bahar laga hamein
- Book : Need Musafir (Pg. 66)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.