kal tak jo kuchh na tha mera iman ho gaya
kal tak jo kuchh na thā mirā īmān ho gayā
ik aam aadmī se maiñ insān ho gayā
dekhe the ḳhvāb maiñ ne bahut zindagī ke dost
kyā ghar isī liye mirā sunsān ho gayā
ḳhud ko bhī bhuul baiThā thā maiñ tere vāste
tū aur kyoñ kisī kī yahāñ jaan ho gayā
milne kī chaah mil ke baḌhī tujh se aur bhī
puurā agarche dil kā ye armān ho gayā
tū umr bhar na saath de chashm-e-karam hī kar
māneñge ye bhī ik tirā ehsān ho gayā
kal tak jo mujh pe jaan chhiḌaktā thā aaj kyoñ
dukh-dard se bhī mere vo anjān ho gayā
sadiyoñ ke baad lauT ke aayā thā kaise par
rasm-e-zamāna dekh ke hairān ho gayā
thā ḳhush-mizāj bhī na.e jazbe ke saath jo
do-chār gaam chal ke vo be-jān ho gayā
chhapvā ke chand ġhazleñ hī kahtā phire hai vo
lo aaj maiñ bhī sāhab-e-dīvān ho gayā
shāgird kāmyāb to ustād kāmyāb
hai fikr mujh ko vo mirī pahchān ho gayā
'hāsil' tujhe to fikr thā ḳhud par bahut kabhī
tū kyoñ kisī ke khel kā sāmān ho gayā
kal tak jo kuchh na tha mera iman ho gaya
ek aam aadmi se main insan ho gaya
dekhe the KHwab main ne bahut zindagi ke dost
kya ghar isi liye mera sunsan ho gaya
KHud ko bhi bhul baiTha tha main tere waste
tu aur kyon kisi ki yahan jaan ho gaya
milne ki chah mil ke baDhi tujh se aur bhi
pura agarche dil ka ye arman ho gaya
tu umr bhar na sath de chashm-e-karam hi kar
manenge ye bhi ek tera ehsan ho gaya
kal tak jo mujh pe jaan chhiDakta tha aaj kyon
dukh-dard se bhi mere wo anjaan ho gaya
sadiyon ke baad lauT ke aaya tha kaise par
rasm-e-zamana dekh ke hairan ho gaya
tha KHush-mizaj bhi nae jazbe ke sath jo
do-chaar gam chal ke wo be-jaan ho gaya
chhapwa ke chand ghazlen hi kahta phire hai wo
lo aaj main bhi sahab-e-diwan ho gaya
shagird kaamyab to ustad kaamyab
hai fikr mujh ko wo meri pahchan ho gaya
'hasil' tujhe to fikr tha KHud par bahut kabhi
tu kyon kisi ke khel ka saman ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.