kal tak jo mere yar tha baqi nahin raha
kal tak jo mere yaar thā baaqī nahīñ rahā
tujh par jo e'tibār thā baaqī nahīñ rahā
jhaTkā yuuñ us ne haath ki āñkheñ hī khol diiñ
barsoñ kā jo ḳhumār thā baaqī nahīñ rahā
phir yuuñ huā ki donoñ ke raste badal ga.e
donoñ meñ jo qarār thā baaqī nahīñ rahā
ashkoñ kī ik phuvār ne sab kuchh hī dho diyā
dil meñ jo ik ġhubār thā baaqī nahīñ rahā
siine pe kis tabīb ne rakhā hai apnā haath
jo dard be-shumār thā baaqī nahīñ rahā
yaarā tire firāq ne saarā chukā diyā
sangat kā jo udhār thā baaqī nahīñ rahā
us ne 'zakī' yuuñ pyaar se dekhā ki phir mirā
ḳhud par jo iḳhtiyār thā baaqī nahīñ rahā
kal tak jo mere yar tha baqi nahin raha
tujh par jo e'tibar tha baqi nahin raha
jhaTka yun us ne hath ki aankhen hi khol din
barson ka jo KHumar tha baqi nahin raha
phir yun hua ki donon ke raste badal gae
donon mein jo qarar tha baqi nahin raha
ashkon ki ek phuwar ne sab kuchh hi dho diya
dil mein jo ek ghubar tha baqi nahin raha
sine pe kis tabib ne rakha hai apna hath
jo dard be-shumar tha baqi nahin raha
yara tere firaq ne sara chuka diya
sangat ka jo udhaar tha baqi nahin raha
us ne 'zaki' yun pyar se dekha ki phir mera
KHud par jo iKHtiyar tha baqi nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.