kal uTh ke aae the patthar ke devtaon tak
kal uTh ke aa.e the patthar ke devtāoñ tak
aur aaj pahuñche ham alfāz ke ḳhudāoñ tak
hudūd-e-jism se aage baḌhe to ye dekhā
ki tishnagī thī barahna tirī adāoñ tak
safīna ġharq huā hai unhīñ kā maujoñ meñ
ki jin ke 'azm kī quvvat thī nā-ḳhudāoñ tak
ye haath āhanī dīvār bhī girā deñge
vo log bhaag ke jā.eñge kin guphāoñ tak
hazār baar huī tujh se munharif duniyā
hazār baar phir aa.ī tirī sadāoñ tak
unhīñ ko pahle milī ārzūoñ kī manzil
jo qāfile na pahuñch paa.e rahnumāoñ tak
'azāb-e-jāñ jinheñ samjhā thā ham ne ai 'shaukat'
palaT ke aa ga.e ham phir unhīñ balāoñ tak
kal uTh ke aae the patthar ke dewtaon tak
aur aaj pahunche hum alfaz ke KHudaon tak
hudud-e-jism se aage baDhe to ye dekha
ki tishnagi thi barahna teri adaon tak
safina gharq hua hai unhin ka maujon mein
ki jin ke 'azm ki quwwat thi na-KHudaon tak
ye hath aahani diwar bhi gira denge
wo log bhag ke jaenge kin guphaon tak
hazar bar hui tujh se munharif duniya
hazar bar phir aai teri sadaon tak
unhin ko pahle mili aarzuon ki manzil
jo qafile na pahunch pae rahnumaon tak
'azab-e-jaan jinhen samjha tha hum ne ai 'shaukat'
palaT ke aa gae hum phir unhin balaon tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.