kali ke husn ko rang-e-shabab se bhar den
kali ke husn ko rang-e-shabab se bhar den
Shakeel Ahmad Shakeel
MORE BYShakeel Ahmad Shakeel
kalī ke husn ko rang-e-shabāb se bhar deñ
guloñ kī tishna-labī hai sharāb se bhar deñ
nasīm-e-sub.h chale shabnamī phuvār liye
diloñ ke baaġh ko rangīñ gulāb se bhar deñ
sunā rahā hai koī pyaar kā nayā naġhma
vafā kī bazm sadā-e-rabāb se bhar deñ
ye barhamī kisī gesū kī kab gavārā huī
chalo sañvār ke zulfeñ shahāb se bhar deñ
nazar na aa.e kahīñ se bhī nafratoñ kā varaq
kitāb-e-zīst mohabbat ke baab se bhar deñ
harīm-e-nāz gulistān-e-rang-o-bū ho sadā
tamām kūcha-e-jānāñ gulāb se bhar deñ
vo regzār ko dariyā batā rahe haiñ 'shakīl'
jo bas chale to samundar sharāb se bhar deñ
kali ke husn ko rang-e-shabab se bhar den
gulon ki tishna-labi hai sharab se bhar den
nasim-e-subh chale shabnami phuwar liye
dilon ke bagh ko rangin gulab se bhar den
suna raha hai koi pyar ka naya naghma
wafa ki bazm sada-e-rabab se bhar den
ye barhami kisi gesu ki kab gawara hui
chalo sanwar ke zulfen shahab se bhar den
nazar na aae kahin se bhi nafraton ka waraq
kitab-e-zist mohabbat ke bab se bhar den
harim-e-naz gulistan-e-rang-o-bu ho sada
tamam kucha-e-jaanan gulab se bhar den
wo regzar ko dariya bata rahe hain 'shakil'
jo bas chale to samundar sharab se bhar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.