kaliyon ki mahak hota taron ki ziya hota
kaliyoñ kī mahak hotā tāroñ kī ziyā hotā
maiñ bhī tire gulshan meñ phūloñ kā ḳhudā hotā
har chiiz zamāne kī ā.īna-e-dil hotī
ḳhāmosh mohabbat kā itnā to sila hotā
tum hāl-e-pareshāñ kī pursish ke liye aate
sahrā-e-tamannā meñ mela sā lagā hotā
har gaam pe kaam aate zulfoñ ke tirī saa.e
ye qāfila-e-hastī be-rāhnumā hotā
ehsās kī Daalī par ik phuul mahaktā hai
zulfoñ ke liye tum ne ik roz chunā hotā
kaliyon ki mahak hota taron ki ziya hota
main bhi tere gulshan mein phulon ka KHuda hota
har chiz zamane ki aaina-e-dil hoti
KHamosh mohabbat ka itna to sila hota
tum haal-e-pareshan ki pursish ke liye aate
sahra-e-tamanna mein mela sa laga hota
har gam pe kaam aate zulfon ke teri sae
ye qafila-e-hasti be-rahnuma hota
ehsas ki Dali par ek phul mahakta hai
zulfon ke liye tum ne ek roz chuna hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.