kaliyon ko mere phul mere aashiyan ko
kaliyoñ ko mere phuul mire āshiyān ko
taaḌā hai sā.iqoñ ne mire gulsitān ko
ik ḳhāna-e-ḳhudā tujhe sauñpā thā ai sanam
kartā hai kaun tark phir aise makān ko
tūbā-qadān-e-shahr-e-karachi ne sar-basar
sar par uThā ke rakkhā hai is āsmān ko
pīr-e-falak hai siine meñ patthar tirā ki dil
kal ḳhaak meñ milā diyā kaise javān ko
jannat dikhā dī shaiḳh ko saaqī ne jiite jī
hazrat salām kar ga.e pīr-e-muġhān ko
jhūTī sahī milī hai mohabbat mujhe zarūr
ābād rakhe haq mire in dostān ko
kyā kyā zabānoñ ko liye dāman meñ baiThī hai
yā-rab atā hoñ vus.ateñ urdu zabān ko
kaliyon ko mere phul mere aashiyan ko
taDa hai saiqon ne mere gulsitan ko
ek KHana-e-KHuda tujhe saunpa tha ai sanam
karta hai kaun tark phir aise makan ko
tuba-qadan-e-shahr-e-karachi ne sar-basar
sar par uTha ke rakkha hai is aasman ko
pir-e-falak hai sine mein patthar tera ki dil
kal KHak mein mila diya kaise jawan ko
jannat dikha di shaiKH ko saqi ne jite ji
hazrat salam kar gae pir-e-mughan ko
jhuTi sahi mili hai mohabbat mujhe zarur
aabaad rakhe haq mere in dostan ko
kya kya zabanon ko liye daman mein baiThi hai
ya-rab ata hon wusaten urdu zaban ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.