kam kam rahna gham ke surKH jaziron mein
kam kam rahnā ġham ke surḳh jazīroñ meñ
ye jo surḳh jazīre haiñ sab ḳhūnīñ haiñ
kam kam bahnā dil dariyā ke dhāre par
ye jo ġham ke dhāre haiñ sab ḳhūnīñ haiñ
hijr kī pahlī shaam ho yā ho vasl kā din
jitne manzar-nāme haiñ sab ḳhūnīñ haiñ
har kūche meñ armānoñ kā ḳhuun huā
shahr ke jitne raste haiñ sab ḳhūnīñ haiñ
ek vasiyyat maiñ ne us ke naam likhī
ye jo pyaar ke naate haiñ sab ḳhūnīñ haiñ
kaun yahāñ is raaz kā parda chaak kare
jitne ḳhuun ke rishte haiñ sab ḳhūnīñ haiñ
kam kam rahna gham ke surKH jaziron mein
ye jo surKH jazire hain sab KHunin hain
kam kam bahna dil dariya ke dhaare par
ye jo gham ke dhaare hain sab KHunin hain
hijr ki pahli sham ho ya ho wasl ka din
jitne manzar-name hain sab KHunin hain
har kuche mein armanon ka KHun hua
shahr ke jitne raste hain sab KHunin hain
ek wasiyyat main ne us ke nam likhi
ye jo pyar ke nate hain sab KHunin hain
kaun yahan is raaz ka parda chaak kare
jitne KHun ke rishte hain sab KHunin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.