kam na tha us gali ke bhulane ka gham
kam na thā us galī ke bhulāne kā ġham
us pe bhārī rahā yaad aane kā ġham
aarzī thī zamāne kī ik ik ḳhushī
dā.imī thā magar us ke jaane kā ġham
ek ummīd lāġhar sī be-rūh sī
aas kī Dor ke TuuT jaane kā ġham
roz bas ek hī ġham se bojhal hai dil
shaam Dhalne kā ġham raat chhāne kā ġham
ek arsa huā phir bhī taaza rahā
aaj bhī us ke us din na aane kā ġham
zer-e-lab koī sahmī huī iltijā
zahr thā us pe yuuñ muskurāne kā ġham
de ke dil le gayā umr bhar kā sukūñ
chal diyā de ke saare zamāne kā ġham
ab vo collage kahāñ aur vo laḌke kahāñ
hasb-e-ummīd paper na aane kā ġham
kam na tha us gali ke bhulane ka gham
us pe bhaari raha yaad aane ka gham
aarzi thi zamane ki ek ek KHushi
daimi tha magar us ke jaane ka gham
ek ummid laghar si be-ruh si
aas ki Dor ke TuT jaane ka gham
roz bas ek hi gham se bojhal hai dil
sham Dhalne ka gham raat chhane ka gham
ek arsa hua phir bhi taza raha
aaj bhi us ke us din na aane ka gham
zer-e-lab koi sahmi hui iltija
zahr tha us pe yun muskurane ka gham
de ke dil le gaya umr bhar ka sukun
chal diya de ke sare zamane ka gham
ab wo collage kahan aur wo laDke kahan
hasb-e-ummid paper na aane ka gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.