kam nahin hai ranj-o-gham mein ye KHushi mere liye
kam nahīñ hai ranj-o-ġham meñ ye ḳhushī mere liye
bādaloñ se jhāñktī hai chāñdnī mere liye
us kī āñkhoñ meñ namī hai muñh se kuchh kahtā nahīñ
ik aziyyat ban ga.ī hai ḳhāmushī mere liye
phir ġhalat-fahmī kī chingārī havā dene lagī
us ne likkhā hai ye ḳhat hai āḳhirī mere liye
raqs kartī hai mirī parchhā.īñ us kī yaad meñ
ab to jiinā ho gayā hai lāzmī mere liye
apne saare ḳhvāb sheroñ meñ sajā detī huuñ maiñ
bā.is-e-taskīn-e-dil hai shā.irī mere liye
barf ke mausam meñ bhī ghar se nikalnā qahr thā
jis taraf bhī maiñ ga.ī ik aag thī mere liye
raat añdherī aur maiñ tanhā musāfir ai 'sabā'
kis qadar mushkil huī hai zindagī mere liye
kam nahin hai ranj-o-gham mein ye KHushi mere liye
baadalon se jhankti hai chandni mere liye
us ki aankhon mein nami hai munh se kuchh kahta nahin
ek aziyyat ban gai hai KHamushi mere liye
phir ghalat-fahmi ki chingari hawa dene lagi
us ne likkha hai ye KHat hai aaKHiri mere liye
raqs karti hai meri parchhain us ki yaad mein
ab to jina ho gaya hai lazmi mere liye
apne sare KHwab sheron mein saja deti hun main
bais-e-taskin-e-dil hai shairi mere liye
barf ke mausam mein bhi ghar se nikalna qahr tha
jis taraf bhi main gai ek aag thi mere liye
raat andheri aur main tanha musafir ai 'saba'
kis qadar mushkil hui hai zindagi mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.