kam-tar ya beshtar gae hum
kam-tar yā beshtar ga.e ham
us dar se ba-chashm-e-nam ga.e ham
ik gul na chunā ham us chaman se
le apnā hī musht-e-par ga.e ham
baize se nikālte hī sar haif
yuuñ qaid-e-qafas meñ paḌ ga.e ham
bin yaar lagā na dil kidhar bhī
jitnā ki idhar udhar ga.e ham
kyā duur se muskurā ke sarkā
kal us kī nazar jo paḌ ga.e ham
duniyā kā va diiñ kā ham ko kyā hosh
mast aa.e va be-ḳhabar ga.e ham
us jān-e-azīz ne na pūchhā
jiite haiñ yā ki mar ga.e ham
kuchh kaam na thā hameñ kisī se
lene dil kī ḳhabar ga.e ham
itnī muddat ke ba.ad 'hasrat'
kal raat jo us ke ghar ga.e ham
kam-tar ya beshtar gae hum
us dar se ba-chashm-e-nam gae hum
ek gul na chuna hum us chaman se
le apna hi musht-e-par gae hum
baize se nikalte hi sar haif
yun qaid-e-qafas mein paD gae hum
bin yar laga na dil kidhar bhi
jitna ki idhar udhar gae hum
kya dur se muskura ke sarka
kal us ki nazar jo paD gae hum
duniya ka wa din ka hum ko kya hosh
mast aae wa be-KHabar gae hum
us jaan-e-aziz ne na puchha
jite hain ya ki mar gae hum
kuchh kaam na tha hamein kisi se
lene dil ki KHabar gae hum
itni muddat ke baad 'hasrat'
kal raat jo us ke ghar gae hum
- Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.