kamal-e-zauq-e-sajda is se baDh kar aur kya hoga
kamāl-e-zauq-e-sajda is se baḌh kar aur kyā hogā
vahīñ vo naqsh-e-pā ubhrā jahāñ rakh dī jabīñ maiñ ne
maiñ har ik ajnabī ko dekh kar mahsūs kartā huuñ
ki shāyad is ko dekhā hai kabhī pahle kahīñ maiñ ne
bashar kā hai bashar dushman ye kaisā daur hai yaaro
mohabbat kā chalan bilkul nahīñ dekhā kahīñ maiñ ne
mirī ik muskurāhaT par ye duniyā kyoñ bigaḌtī hai
ki muddat tak bahut aañsū bahā.e haiñ yahīñ maiñ ne
chaman meñ har taraf zāġh-o-zaġhan kā raaj hai 'lāġhar'
chaman meñ qumrī-o-bulbul nahīñ dekhī kahīñ maiñ ne
kamal-e-zauq-e-sajda is se baDh kar aur kya hoga
wahin wo naqsh-e-pa ubhra jahan rakh di jabin main ne
main har ek ajnabi ko dekh kar mahsus karta hun
ki shayad is ko dekha hai kabhi pahle kahin main ne
bashar ka hai bashar dushman ye kaisa daur hai yaro
mohabbat ka chalan bilkul nahin dekha kahin main ne
meri ek muskurahaT par ye duniya kyon bigaDti hai
ki muddat tak bahut aansu bahae hain yahin main ne
chaman mein har taraf zagh-o-zaghan ka raj hai 'laghar'
chaman mein qumri-o-bulbul nahin dekhi kahin main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.