kamal rakhte hain apni wahi jawani mein
kamāl rakhte haiñ apnī vahī javānī meñ
lagā ke aag jo baiThe hue haiñ paanī meñ
ga.e dinoñ ke dikhā.ī diye sabhī manzar
rafāqatoñ se juḌī har kisī nishānī meñ
tamām ḳhvāb mirī zindagī ke bah nikle
tirī judā.ī meñ ashkoñ kī is ravānī meñ
jise bhī dekhiye ranj-o-alam meñ Duubā hai
'ajīb dard hai har shaḳhs kī kahānī meñ
akelī maiñ hī nahīñ huuñ vafā ke zindāñ meñ
bahut se aur haiñ is qaid-e-rā.egānī meñ
mujhe to dasht-e-tamannā kī dhuup kaam aa.ī
ai 'hādia' mirī miTTī kī sā.ebānī meñ
kamal rakhte hain apni wahi jawani mein
laga ke aag jo baiThe hue hain pani mein
gae dinon ke dikhai diye sabhi manzar
rafaqaton se juDi har kisi nishani mein
tamam KHwab meri zindagi ke bah nikle
teri judai mein ashkon ki is rawani mein
jise bhi dekhiye ranj-o-alam mein Duba hai
'ajib dard hai har shaKHs ki kahani mein
akeli main hi nahin hun wafa ke zindan mein
bahut se aur hain is qaid-e-raegani mein
mujhe to dasht-e-tamanna ki dhup kaam aai
ai 'hadia' meri miTTi ki saebani mein
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.