kaman toD di apni zirah utar chuka
kamān toḌ dī apnī zirah utaar chukā
ḳhushī manāo mire dushmano maiñ haar chukā
udaas baiThī haiñ sahrā-navardiyāñ merī
maiñ apne aap ko har dasht meñ pukār chukā
maiñ qarz-dār huuñ logo mujhe zalīl karo
na qarz-e-yār chukā aur na qarz-e-dār chukā
bachā rakhā thā jo ik tiir is jahāñ ke liye
vo ek tiir maiñ siine meñ apne maar chukā
haiñ aur kaam mujhe zindagī ijāzat de
maiñ terī zulf-e-pareshāñ bahut sañvār chukā
koī hisāb thā tā-'umr chuk nahīñ paayā
vahī hisāb jo har roz baar baar chukā
kaman toD di apni zirah utar chuka
KHushi manao mere dushmano main haar chuka
udas baiThi hain sahra-nawardiyan meri
main apne aap ko har dasht mein pukar chuka
main qarz-dar hun logo mujhe zalil karo
na qarz-e-yar chuka aur na qarz-e-dar chuka
bacha rakha tha jo ek tir is jahan ke liye
wo ek tir main sine mein apne mar chuka
hain aur kaam mujhe zindagi ijazat de
main teri zulf-e-pareshan bahut sanwar chuka
koi hisab tha ta-'umr chuk nahin paya
wahi hisab jo har roz bar bar chuka
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 77)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.