kamaya luTaya bachaya nahin
kamāyā luTāyā bachāyā nahīñ
magar ek paisa gañvāyā nahīñ
kabhī koī ḳhvāboñ meñ aayā nahīñ
muqaddar mirā jagmagāyā nahīñ
karam ye rahā dostoñ kā mire
kabhī ek pal muskurāyā nahīñ
vo chāhat vo hasrat vo vā'de vafā
jinheñ aaj bhī bhuul paayā nahīñ
'ayāñ zindagī kā har ek prishTh hai
zamāne se ham ne chhupāyā nahīñ
kaTā Daale sar haiñ vatan ke liye
magar sar ko apne jhukāyā nahīñ
hai lahroñ kā ehsān 'madhukar' bahut
samundar Dubā mujh ko paayā nahīñ
kamaya luTaya bachaya nahin
magar ek paisa ganwaya nahin
kabhi koi KHwabon mein aaya nahin
muqaddar mera jagmagaya nahin
karam ye raha doston ka mere
kabhi ek pal muskuraya nahin
wo chahat wo hasrat wo wa'de wafa
jinhen aaj bhi bhul paya nahin
'ayan zindagi ka har ek prishTh hai
zamane se hum ne chhupaya nahin
kaTa Dale sar hain watan ke liye
magar sar ko apne jhukaya nahin
hai lahron ka ehsan 'madhukar' bahut
samundar Duba mujh ko paya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.