kambaKHt dil ne ishq ko wahshat bana diya
kambaKHt dil ne ishq ko wahshat bana diya
Ameeta Parsuram Meeta
MORE BYAmeeta Parsuram Meeta
kambaḳht dil ne ishq ko vahshat banā diyā
vahshat ko ham ne bā.is-e-rahmat banā diyā
kyā kyā muġhālate diye daur-e-jadīd ne
nafrat ko pyaar pyaar ko nafrat banā diyā
ham ne hazār fāsle jī kar tamām shab
ik muḳhtasar sī raat ko muddat banā diyā
ai jaan apne dil pe mujhe naaz kyuuñ na ho
ik ḳhvāb thā ki jis ko haqīqat banā diyā
maḳhsūs had pe aa ga.ī jab be-ruḳhī tirī
us had ko ham ne hāsil-e-qismat banā diyā
kambaKHt dil ne ishq ko wahshat bana diya
wahshat ko hum ne bais-e-rahmat bana diya
kya kya mughaalate diye daur-e-jadid ne
nafrat ko pyar pyar ko nafrat bana diya
hum ne hazar fasle ji kar tamam shab
ek muKHtasar si raat ko muddat bana diya
ai jaan apne dil pe mujhe naz kyun na ho
ek KHwab tha ki jis ko haqiqat bana diya
maKHsus had pe aa gai jab be-ruKHi teri
us had ko hum ne hasil-e-qismat bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.