kanar-e-dasht akele Thaharne par hoga
kanār-e-dasht akele Thaharne par hogā
diloñ meñ ḳhauf kā andāza Darne par hogā
samajhtā hai mirī aadat vo husn-e-be-parvā
sameT lūñgā use jab bikharne par hogā
payām de na sakī gul kā bū-e-sust-ḳhirām
na jaane ab kahāñ mausam guzarne par hogā
kahīñ pe kaa.ī kahīñ habs aur kahīñ daldal
ye haal shahr kā paanī utarne par hogā
maiñ sochtā huuñ daraḳhtoñ kī chhāñv meñ 'shāhīñ'
ki tai tamām safar sirf karne par hogā
kanar-e-dasht akele Thaharne par hoga
dilon mein KHauf ka andaza Darne par hoga
samajhta hai meri aadat wo husn-e-be-parwa
sameT lunga use jab bikharne par hoga
payam de na saki gul ka bu-e-sust-KHiram
na jaane ab kahan mausam guzarne par hoga
kahin pe kai kahin habs aur kahin daldal
ye haal shahr ka pani utarne par hoga
main sochta hun daraKHton ki chhanw mein 'shahin'
ki tai tamam safar sirf karne par hoga
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 283)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.