kaniz-e-waqt ko nilam kar diya sab ne
kanīz-e-vaqt ko nīlām kar diyā sab ne
ye vahm kyā hai baḌā kaam kar diyā sab ne
koī bhī shaḳhs sehat-mand kyā nazar aa.e
munāfarat kā sabaq aam kar diyā sab ne
milī na jab unheñ ta.abīr apne ḳhvāboñ kī
phir apnī āñkhoñ ko nīlām kar diyā sab ne
burā samajh ke buzurgoñ ne jis ko chhoḌā thā
vo kār-e-bad ḳhush-anjām diyā sab ne
har ek sach ko to mansūb kar liyā ḳhud se
tamām jhuuT mire naam kar diyā sab ne
jo apne ahd ko sachchā.ī bāñTtā thā 'zafar'
us ek shaḳhs ko badnām kar diyā sab ne
kaniz-e-waqt ko nilam kar diya sab ne
ye wahm kya hai baDa kaam kar diya sab ne
koi bhi shaKHs sehat-mand kya nazar aae
munafarat ka sabaq aam kar diya sab ne
mili na jab unhen tabir apne KHwabon ki
phir apni aankhon ko nilam kar diya sab ne
bura samajh ke buzurgon ne jis ko chhoDa tha
wo kar-e-bad KHush-anjam diya sab ne
har ek sach ko to mansub kar liya KHud se
tamam jhuT mere nam kar diya sab ne
jo apne ahd ko sachchai banTta tha 'zafar'
us ek shaKHs ko badnam kar diya sab ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.