kankar kah na patthar kah
kankar kah na patthar kah
gauhar hai to gauhar kah
pīchhe ġhībat hotī hai
jo kahnā hai muñh par kah
patthar Dhone vaale ko
kā.enāt kā mehvar kah
chīḳhe qaumī yak-jehtī
haq par ho jo haq par kah
lahja qātil Thahregā
kaḌvī baat ko hañs kar kah
mustaqbil kī fikr bhī rakh
haal kā haal bhī khul kar kah
bhaḌak uTheñ jis se jazbāt
aisī baat na 'paikar' kah
kankar kah na patthar kah
gauhar hai to gauhar kah
pichhe ghibat hoti hai
jo kahna hai munh par kah
patthar Dhone wale ko
kaenat ka mehwar kah
chiKHe qaumi yak-jehti
haq par ho jo haq par kah
lahja qatil Thahrega
kaDwi baat ko hans kar kah
mustaqbil ki fikr bhi rakh
haal ka haal bhi khul kar kah
bhaDak uThen jis se jazbaat
aisi baat na 'paikar' kah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.