kanwal hon aab mein KHush gul saba mein shad rahen
kañval hoñ aab meñ ḳhush gul sabā meñ shaad raheñ
tire hazīñ tirī āb-o-havā meñ shaad raheñ
palaT ke des ke bāġhoñ meñ ham na jā.eñge
shafaq-mizāj haiñ sahrā-sarā meñ shaad raheñ
charāġh bāñTne vāloñ pa hairateñ na karo
ye āftāb haiñ, shab kī duā meñ shaad raheñ
guloñ kī khetiyāñ kaaTī tire shahīdoñ ne
gulāb gūñdhne vaale azā meñ shaad raheñ
kanwal hon aab mein KHush gul saba mein shad rahen
tere hazin teri aab-o-hawa mein shad rahen
palaT ke des ke baghon mein hum na jaenge
shafaq-mizaj hain sahra-sara mein shad rahen
charagh banTne walon pa hairaten na karo
ye aaftab hain, shab ki dua mein shad rahen
gulon ki khetiyan kaTi tere shahidon ne
gulab gundhne wale aza mein shad rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.