kar bhi lun agar KHwab ki tabir koi aur
kar bhī luuñ agar ḳhvāb kī ta.abīr koī aur
siine meñ utar jā.egī shamshīr koī aur
ab ashk tire rok nahīñ pā.eñge mujh ko
ab Daal mire paañv meñ zanjīr koī aur
maiñ shab se nahīñ din kī halākat se Darā huuñ
ab mere liye bhejnā tanvīr koī aur
ab terī mohabbat se bhī kuchh kaam na hogā
ab DhūñD mare vāste iksīr koī aur
ai mere musavvir nahīñ ye maiñ to nahīñ huuñ
ye tū ne banā Daalī hai tasvīr koī aur
is baar mujhe ishq kā āzār nahīñ hai
is baar mohabbat meñ hai dil-gīr koī aur
kar bhi lun agar KHwab ki tabir koi aur
sine mein utar jaegi shamshir koi aur
ab ashk tere rok nahin paenge mujh ko
ab Dal mere panw mein zanjir koi aur
main shab se nahin din ki halakat se Dara hun
ab mere liye bhejna tanwir koi aur
ab teri mohabbat se bhi kuchh kaam na hoga
ab DhunD mare waste iksir koi aur
ai mere musawwir nahin ye main to nahin hun
ye tu ne bana Dali hai taswir koi aur
is bar mujhe ishq ka aazar nahin hai
is bar mohabbat mein hai dil-gir koi aur
- Book : urdu gazal ka magribi daricha (Pg. 60)
- Author : javaaz jaafri
- Publication : fazli book super market (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.