kar ke bimar di dawa tu ne
kar ke bīmār dī davā tū ne
jaan se pahle dil liyā tū ne
rah-rav-e-tishna-lab na ghabrānā
ab liyā chashma-e-baqā tū ne
shaiḳh jab dil hī dair meñ na lagā
aa ke masjid se kyā liyā tū ne
duur ho ai dil-e-ma.āl andesh
kho diyā umr kā mazā tū ne
ek begāna vaar kar ke nigāh
kyā kiyā chashm-e-āshnā tū ne
dil o diiñ kho ke aa.e the sū-e-dair
yaañ bhī sab kuchh diyā ḳhudā tū ne
ḳhush hai ummīd-e-ḳhuld par 'hālī'
koī pūchhe ki kyā kiyā tū ne
kar ke bimar di dawa tu ne
jaan se pahle dil liya tu ne
rah-raw-e-tishna-lab na ghabrana
ab liya chashma-e-baqa tu ne
shaiKH jab dil hi dair mein na laga
aa ke masjid se kya liya tu ne
dur ho ai dil-e-maal andesh
kho diya umr ka maza tu ne
ek begana war kar ke nigah
kya kiya chashm-e-ashna tu ne
dil o din kho ke aae the su-e-dair
yan bhi sab kuchh diya KHuda tu ne
KHush hai ummid-e-KHuld par 'haali'
koi puchhe ki kya kiya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.