Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar ke KHairaat gunahon ko chhupata kya hai

Inayat Ameen

kar ke KHairaat gunahon ko chhupata kya hai

Inayat Ameen

MORE BYInayat Ameen

    kar ke ḳhairāt gunāhoñ ko chhupātā kyā hai

    rang sone pītal pe chaḌhātā kyā hai

    paap to rang nahīñ hai jo dhulegā nādāñ

    bahtī gañgā ke kināre pe nahātā kyā hai

    ye alag baat hai siine se lagāyā ham ne

    bevafā.ī ke sivā aap ko aatā kyā hai

    dil meñ bhaktī ho to hālāt sañvar sakte haiñ

    phuul maalā kisī devī pe chaḌhātā kyā hai

    is zamāne mufakkir huuñ adab kar merā

    Digriyāñ le ke mujhe aañkh dikhātā kyā hai

    gar tirā pyaar hai sachchā to baġhāvat kar de

    us tasvīr ko kamre meñ sajātā kyā hai

    haar jiit yaqīnī hai mohabbat meñ 'amīn'

    ek pāgal tarah ashk bahātā kiyā hai

    kar ke KHairaat gunahon ko chhupata kya hai

    rang sone ka tu pital pe chaDhata kya hai

    pap to rang nahin hai jo dhulega nadan

    bahti ganga ke kinare pe nahata kya hai

    ye alag baat hai sine se lagaya hum ne

    bewafai ke siwa aap ko aata kya hai

    dil mein bhakti ho to haalat sanwar sakte hain

    phul mala kisi dewi pe chaDhata kya hai

    is zamane ka mufakkir hun adab kar mera

    Digriyan le ke mujhe aankh dikhata kya hai

    gar tera pyar hai sachcha to baghawat kar de

    us ki taswir ko kamre mein sajata kya hai

    haar ya jit yaqini hai mohabbat mein 'amin'

    ek pagal ki tarah ashk bahata kiya hai

    Source:

    Dhoop Samundar (Pg. 68)

    • Author: Inayat Ameen
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now