Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar len samjhauta sabhi aaj ke haalat se ab

Navin Joshi

kar len samjhauta sabhi aaj ke haalat se ab

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    kar leñ samjhautā sabhī aaj ke hālāt se ab

    sab pahchān hai pahchān ke isbāt se ab

    hai vajūd us jo kāġhaz pe kare sābit ye

    ba.az auqāt hai kāġhaz baḌā auqāt se ab

    to tum baat karo phone pe chat karo

    sab ko parhez rahtā hai mulāqāt se ab

    ham bhī bhejeñge emoji tum agar bhejoge

    nisbat apnī rahī bas itnī jazbāt se ab

    phone batri na charge ho to mar jaa.eñ

    farq paḌtā nahīñ hai aur kisī baat se ab

    ai 'navā' siikh jadīd ab to rivāyāt sabhī

    tujh ko hāsil nahīñ hai kuchh bhī shikāyāt se ab

    kar len samjhauta sabhi aaj ke haalat se ab

    sab ki pahchan hai pahchan ke isbaat se ab

    hai wajud us ka jo kaghaz pe kare sabit ye

    baz auqat hai kaghaz baDa auqat se ab

    ya to tum baat karo phone pe ya chat karo

    sab ko parhez hi rahta hai mulaqat se ab

    hum bhi bhejenge emoji tum agar bhejoge

    nisbat apni rahi bas itni hi jazbaat se ab

    phone ki batri na charge ho to mar jaen

    farq paDta nahin hai aur kisi baat se ab

    ai 'nawa' sikh jadid ab to riwayat sabhi

    tujh ko hasil nahin hai kuchh bhi shikayat se ab

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now