kar na ruswa dil-e-betab bas ai wae hamein
kar na rusvā dil-e-betāb bas ai vaa.e hameñ
shab ke nāloñ se ḳhajil karte haiñ ham-sā.e hameñ
dosto bahr-e-ḳhatā koī to batlāo ilaaj
ki shab-e-hijr sar-e-shām se niiñd aa.e hameñ
tāziyat-e-nāma-e-uftāda sar-e-rāh meñ ham
ro paḌe dekh ke jo shaḳhs paḌā paa.e hameñ
ḳhūb-rūyoñ ko jahāñ dekhte haiñ ai 'mārūf'
hasrat aatī hai ki aisā na kiyā haa.e hameñ
kar na ruswa dil-e-betab bas ai wae hamein
shab ke nalon se KHajil karte hain ham-sae hamein
dosto bahr-e-KHata koi to batlao ilaj
ki shab-e-hijr sar-e-sham se nind aae hamein
taziyat-e-nama-e-uftada sar-e-rah mein hum
ro paDe dekh ke jo shaKHs paDa pae hamein
KHub-ruyon ko jahan dekhte hain ai 'maruf'
hasrat aati hai ki aisa na kiya hae hamein
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.