karan karan nazar mein meri har taraf sahab tha
karāñ karāñ nazar meñ merī har taraf sahāb thā
zamīñ rahī ye tishna-lab kahīñ magar na aab thā
badal chuke haiñ sab mire dil-o-nazar ke zāviye
nazar paḌī thī us kī ik ajiib inqalāb thā
ki naqsh dil pe ho ga.ī hai qurbatoñ kī dāstāñ
mahak rahī hai yāsmīñ khilā huā gulāb thā
shadīd abr-o-bād thī vo zehn-o-dil ke darmiyāñ
badan-zamīn ġharq thī lahū meñ iztirāb thā
nazar ke qīl-o-qāl meñ ye falsafe kī baat kyā
maiñ sar-ba-sar savāl thā sarāpā vo javāb thā
ki gurg meñ badal ga.e vo jitne mere yaar the
shaġhāl jāñ-nisār the ajiib merā ḳhvāb thā
ye zindagī 'nadīm' jī tazād kī hai dāstāñ
ki matmah us kā aur thā jo merā intiḳhāb thā
karan karan nazar mein meri har taraf sahab tha
zamin rahi ye tishna-lab kahin magar na aab tha
badal chuke hain sab mere dil-o-nazar ke zawiye
nazar paDi thi us ki ek ajib inqalab tha
ki naqsh dil pe ho gai hai qurbaton ki dastan
mahak rahi hai yasmin khila hua gulab tha
shadid abr-o-baad thi wo zehn-o-dil ke darmiyan
badan-zamin gharq thi lahu mein iztirab tha
nazar ke qil-o-qal mein ye falsafe ki baat kya
main sar-ba-sar sawal tha sarapa wo jawab tha
ki gurg mein badal gae wo jitne mere yar the
shaghaal jaan-nisar the ajib mera KHwab tha
ye zindagi 'nadim' ji tazad ki hai dastan
ki matmah us ka aur tha jo mera intiKHab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.