karam ba-nam-e-sitam us pe be-hisab hua
karam ba-nām-e-sitam us pe be-hisāb huā
jo luT gayā rah-e-ulfat meñ kāmyāb huā
nazar nazar ne pinhāyā libās-e-tār-e-nazar
pas-e-naqāb huā jo bhī be-naqāb huā
vo sarfarāz huā kārobār-e-ulfat meñ
barā-e-mashq-e-jafā jis kā intiḳhāb huā
na zindagī ne qubūlā na maut ne pūchhā
ḳharāb-hāl zamāna bahut ḳharāb huā
utar ga.e jo kisī kī hañsī ke sadqe meñ
un āñsuoñ kā huā to kahāñ hisāb huā
ye kyā ki apnī bhī pahchān ho ga.ī mushkil
bil-āḳhir apnī nigāhoñ se bhī hijāb huā
utar sakā jo kharā vaqt kī kasauTī par
ma.āl-e-kār vo zarra bhī āftāb huā
dil-o-nazar kī bahāroñ ke ruḳh palaTte hī
'rishī' gulāb kā chehra bhī aab aab huā
karam ba-nam-e-sitam us pe be-hisab hua
jo luT gaya rah-e-ulfat mein kaamyab hua
nazar nazar ne pinhaya libas-e-tar-e-nazar
pas-e-naqab hua jo bhi be-naqab hua
wo sarfaraaz hua karobar-e-ulfat mein
bara-e-mashq-e-jafa jis ka intiKHab hua
na zindagi ne qubula na maut ne puchha
KHarab-haal zamana bahut KHarab hua
utar gae jo kisi ki hansi ke sadqe mein
un aansuon ka hua to kahan hisab hua
ye kya ki apni bhi pahchan ho gai mushkil
bil-aKHir apni nigahon se bhi hijab hua
utar saka jo khara waqt ki kasauTi par
maal-e-kar wo zarra bhi aaftab hua
dil-o-nazar ki bahaaron ke ruKH palaTte hi
'rishi' gulab ka chehra bhi aab aab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.