karam hai us ka koi bad-dua nahin lagti
karam hai us kā koī bad-duā nahīñ lagtī
mire charāġh jaleñ to havā nahīñ lagtī
tumhāre pyaar kī zanjīr meñ bañdhā huuñ maiñ
sazā ye kaisī milī hai sazā nahīñ lagtī
kisī se pyaar karo aur tajraba kar lo
ye rog aisā hai jis meñ davā nahīñ lagtī
agar zamāna hai nārāz to rahe nārāz
hameñ kuchh is meñ tumhārī ḳhatā nahīñ lagtī
ye zindagī jo tumhārī nazar meñ kuchh bhī nahīñ
mirī nigāh se dekho to kyā nahīñ lagtī
faqīr saare jahāñ ko duā.eñ dete haiñ
bas ik hamāre hī dar pe sadā nahīñ lagtī
karam hai us ka koi bad-dua nahin lagti
mere charagh jalen to hawa nahin lagti
tumhaare pyar ki zanjir mein bandha hun main
saza ye kaisi mili hai saza nahin lagti
kisi se pyar karo aur tajraba kar lo
ye rog aisa hai jis mein dawa nahin lagti
agar zamana hai naraaz to rahe naraaz
hamein kuchh is mein tumhaari KHata nahin lagti
ye zindagi jo tumhaari nazar mein kuchh bhi nahin
meri nigah se dekho to kya nahin lagti
faqir sare jahan ko duaen dete hain
bas ek hamare hi dar pe sada nahin lagti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.