karam hua bhi to kitne takallufat ke baad
karam huā bhī to kitne takallufāt ke baa'd
'atā huā ġham-e-jānāñ ġham-e-hayāt ke baa'd
tire sitam kī qayāmat bhī dil pe guzrī hai
tirī nigāh-e-'ināyat ke hādsāt ke baa'd
nazar nazar tirā jalva nafas nafas ḳhushbū
'ajīb haal hai tark-e-ta'alluqāt ke baa'd
ḳhud apnī shakl nazar aa.ī un kī sūrat meñ
nazar uThī jo hijāb-e-ta’yyunāt ke baa'd
kahīñ milā na vo saaya ki dil Thahar jaatā
tumhāre ġham kī kaḌī dhuup se najāt ke baa'd
ye raushnī unhīñ tārīkiyoñ se phūTī hai
yaqīn dil ko milā hai tavahhumāt ke baa'd
huī hai 'badr' unheñ zahmat-e-taġhāful bhī
magar mire dil-e-pāmāl-e-iltifāt ke baa'd
karam hua bhi to kitne takallufat ke ba'd
'ata hua gham-e-jaanan gham-e-hayat ke ba'd
tere sitam ki qayamat bhi dil pe guzri hai
teri nigah-e-'inayat ke hadsat ke ba'd
nazar nazar tera jalwa nafas nafas KHushbu
'ajib haal hai tark-e-ta'alluqat ke ba'd
KHud apni shakl nazar aai un ki surat mein
nazar uThi jo hijab-e-ta’yyunat ke ba'd
kahin mila na wo saya ki dil Thahar jata
tumhaare gham ki kaDi dhup se najat ke ba'd
ye raushni unhin tarikiyon se phuTi hai
yaqin dil ko mila hai tawahhumat ke ba'd
hui hai 'badr' unhen zahmat-e-taghaful bhi
magar mere dil-e-pamal-e-iltifat ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.