karam ka aur hai imkan khule to baat chale
karam kā aur hai imkāñ khule to baat chale
is iltifāt kā unvāñ khule to baat chale
kis intizār meñ thī rūh-e-ḳhud-numā.ī-e-gul
baras ke abr-e-bahārāñ khule to baat chale
kuchh ab ke ham bhī kaheñ us kī dāstān-e-visāl
magar vo zulf-e-pareshāñ khule to baat chale
jafā ye silsila-e-sad-hazār-unvāñ hai
qamīs-e-yūsuf-e-kan.āñ khule to baat chale
safar hai aur sitāroñ kā ik bayābāñ hai
musāfirī kā bhī imkāñ khule to baat chale
tilism-e-sheva-e-yārāñ khulā to kuchh na huā
kabhī ye habs-e-dil-o-jāñ khule to baat chale
sulag rahā hai ufuq bujh rahī hai ātish-e-mahr
rumūz-e-rabt-e-gurezāñ khule to baat chale
karam ka aur hai imkan khule to baat chale
is iltifat ka unwan khule to baat chale
kis intizar mein thi ruh-e-KHud-numai-e-gul
baras ke abr-e-bahaaran khule to baat chale
kuchh ab ke hum bhi kahen us ki dastan-e-visal
magar wo zulf-e-pareshan khule to baat chale
jafa ye silsila-e-sad-hazar-unwan hai
qamis-e-yusuf-e-kanan khule to baat chale
safar hai aur sitaron ka ek bayaban hai
musafiri ka bhi imkan khule to baat chale
tilism-e-shewa-e-yaran khula to kuchh na hua
kabhi ye habs-e-dil-o-jaan khule to baat chale
sulag raha hai ufuq bujh rahi hai aatish-e-mahr
rumuz-e-rabt-e-gurezan khule to baat chale
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 84)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.