Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karam-nawaz kabhi zauq-e-be-panah mein aa

Nisar Dinajpuri

karam-nawaz kabhi zauq-e-be-panah mein aa

Nisar Dinajpuri

MORE BYNisar Dinajpuri

    karam-navāz kabhī zauq-e-be-panāh meñ aa

    nazar meñ aa chukā ab dil bārgāh meñ aa

    sukūn-e-dil talab hai to mashvara hai mirā

    to sar jhukā ke aqīdat se ḳhānqāh meñ aa

    tirī hai iid to us bhī iid ho jaa.e

    sar-e-yatīm pe rakh haath eid-gāh meñ aa

    haram thā musāfir kyoñ dair tak pahuñchā

    bahut tamāshe hue ab to sīdhī raah meñ aa

    mushā.era hai ye mujrā nahīñ hai koī 'nisār'

    na mahfiloñ meñ kabhī shauq-e-vāh-vāh meñ aa

    karam-nawaz kabhi zauq-e-be-panah mein aa

    nazar mein aa chuka ab dil ki bargah mein aa

    sukun-e-dil ki talab hai to mashwara hai mera

    to sar jhuka ke aqidat se KHanqah mein aa

    teri hai id to us ki bhi id ho jae

    sar-e-yatim pe rakh hath eid-gah mein aa

    haram ka tha tu musafir kyon dair tak pahuncha

    bahut tamashe hue ab to sidhi rah mein aa

    mushaera hai ye mujra nahin hai koi 'nisar'

    na mahfilon mein kabhi shauq-e-wah-wah mein aa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now