karb dar-parda-e-tarab hai abhi
karb dar-parda-e-tarab hai abhī
muskurāhaT bhī zer-e-lab hai abhī
haiñ pareshāñ hayāt ke gesū
na karo zikr-e-sub.h shab hai abhī
mil to saktā hai aadmī meñ ḳhudā
aadmī aadmī hī kab hai abhī
laakh samjhaute haal se kījiye
thī ġhazab yaad ik ġhazab hai abhī
kis qadar kāmyāb hai insāñ
bhuuk hī maut kā sabab hai abhī
zindagī tishnagī meñ thī sarshār
ho ke sarshār tishna-lab hai abhī
bazm-e-imkāñ hai juzv-e-fikr-o-nazar
aql-e-kul aql-e-bul-ajab hai abhī
ik havas hai ki qahqaha parvāz
ik mohabbat ki jāñ-ba-lab hai abhī
miT ga.e fāsle ḳhalāoñ ke
rañg hai nasl hai nasab hai abhī
ḳhud-numā.ī ke vahm kā ib.hām
naam ke saath ik laqab hai abhī
tul rahī hai hayāt hāthoñ par
fā.elun fā.elun adab hai abhī
sab jo paayā hai aaj kuchh bhī nahīñ
kuchh jo khoyā thā kal vo sab hai abhī
ghar ke Tiksāl kī mashīnoñ meñ
dil kā vo shor vo shaġhab hai abhī
har nazar ik savāl hai 'āmir'
har nafas faisla-talab hai abhī
karb dar-parda-e-tarab hai abhi
muskurahaT bhi zer-e-lab hai abhi
hain pareshan hayat ke gesu
na karo zikr-e-subh shab hai abhi
mil to sakta hai aadmi mein KHuda
aadmi aadmi hi kab hai abhi
lakh samjhaute haal se kijiye
thi ghazab yaad ek ghazab hai abhi
kis qadar kaamyab hai insan
bhuk hi maut ka sabab hai abhi
zindagi tishnagi mein thi sarshaar
ho ke sarshaar tishna-lab hai abhi
bazm-e-imkan hai juzw-e-fikr-o-nazar
aql-e-kul aql-e-bul-ajab hai abhi
ek hawas hai ki qahqaha parwaz
ek mohabbat ki jaan-ba-lab hai abhi
miT gae fasle KHalaon ke
rang hai nasl hai nasab hai abhi
KHud-numai ke wahm ka ibham
nam ke sath ek laqab hai abhi
tul rahi hai hayat hathon par
faelun faelun adab hai abhi
sab jo paya hai aaj kuchh bhi nahin
kuchh jo khoya tha kal wo sab hai abhi
ghar ke Tiksal ki mashinon mein
dil ka wo shor wo shaghab hai abhi
har nazar ek sawal hai 'amir'
har nafas faisla-talab hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.