karb ki aag mein din-raat pighalte rahiye
karb kī aag meñ din-rāt pighalte rahiye
karvaTeñ dard ke bistar pe badalte rahiye
kaun aatā hai yahāñ kis ko hai fursat yaaro
jism kī aag meñ ḳhud apne hī jalte rahiye
un ko paane kī tamanna to hai ik ḳhvāb-e-hasīn
tifl-e-nau-umr kī mānind machalte rahiye
ābla-pā.ī se jal uTThe hoñ har samt charāġh
jāda-e-zīst pe is tarah se chalte rahiye
vādī-e-najd hai dāman na ulajh jaa.e kahīñ
yaañ har ik gaam pe ai dost sambhalte rahiye
karb ki aag mein din-raat pighalte rahiye
karwaTen dard ke bistar pe badalte rahiye
kaun aata hai yahan kis ko hai fursat yaro
jism ki aag mein KHud apne hi jalte rahiye
un ko pane ki tamanna to hai ek KHwab-e-hasin
tifl-e-nau-umr ki manind machalte rahiye
aabla-pai se jal uTThe hon har samt charagh
jada-e-zist pe is tarah se chalte rahiye
wadi-e-najd hai daman na ulajh jae kahin
yan har ek gam pe ai dost sambhalte rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.