kare hai baada tere lab se kasb-e-rang-e-farogh
kare hai baada tire lab se kasb-e-rañg-e-faroġh
ḳhat-e-piyāla sarāsar nigāh-e-gul-chīñ hai
kabhī to is dil-e-shorīda kī bhī daad mile
ki ek umr se hasrat-parast-e-bālīñ hai
bajā hai gar na sune nāla-hā-e-bulbul-e-zār
ki gosh-e-gul nam-e-shabnam se pamba-āgīñ hai
'asad' hai naza.a meñ chal bevafā barā-e-ḳhudā
maqām-e-tark-e-hijāb o vidā-e-tamkīñ hai
kare hai baada tere lab se kasb-e-rang-e-farogh
KHat-e-piyala sarasar nigah-e-gul-chin hai
kabhi to is dil-e-shorida ki bhi dad mile
ki ek umr se hasrat-parast-e-baalin hai
baja hai gar na sune nala-ha-e-bulbul-e-zar
ki gosh-e-gul nam-e-shabnam se pamba-agin hai
'asad' hai naza mein chal bewafa bara-e-KHuda
maqam-e-tark-e-hijab o wida-e-tamkin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.