karen hum kis ki puja aur chaDhaen kis ko chandan hum
kareñ ham kis kī puujā aur chaḌhā.eñ kis ko chandan ham
sanam ham dair ham but-ḳhāna ham but ham barahman ham
dar-o-dīvār hī nazroñ meñ apnī ā.ina-ḳhāna
kiyā kartī haiñ ghar baiThī hī apnā aap darshan ham
mohabbat hai to apne se 'adāvat hai to apne se
haiñ aap hī dost apne ham haiñ aap hī apne dushman ham
kab uThtī haiñ uThā.e se kisī shaiḳh-o-barahman ke
dar-e-dil-par hī apne maar kar baiThe haiñ aasan ham
jise ġhaib aap samjhe haiñ shahādat jis ko jaane haiñ
binā rakhī haiñ apnī dil lagī kī ye ghar-āñgan ham
hidāyat ham se hī paidā zalālat ham pe hī shaidā
kabhī haiñ rahnumā apne kabhī haiñ apne rahzan ham
na qīl-o-qāl se matlab na shaġhl-ashġhāl se matlab
murāqib apne rahte haiñ kā kar apnī gardan ham
rahā kartī haiñ pahroñ mahv-e-nazzāra meñ ham apne
sarāpā ho rahe haiñ ab to apne aap darpan ham
huā ai 'faiz' mā'lūm ek muddat meñ hameñ thī vo
japā karte the jis ke naam kī din-rāt simran ham
karen hum kis ki puja aur chaDhaen kis ko chandan hum
sanam hum dair hum but-KHana hum but hum barahman hum
dar-o-diwar hi nazron mein apni aaina-KHana
kiya karti hain ghar baiThi hi apna aap darshan hum
mohabbat hai to apne se 'adawat hai to apne se
hain aap hi dost apne hum hain aap hi apne dushman hum
kab uThti hain uThae se kisi shaiKH-o-barahman ke
dar-e-dil-par hi apne mar kar baiThe hain aasan hum
jise ghaib aap samjhe hain shahadat jis ko jaane hain
bina rakhi hain apni dil lagi ki ye ghar-angan hum
hidayat hum se hi paida zalalat hum pe hi shaida
kabhi hain rahnuma apne kabhi hain apne rahzan hum
na qil-o-qal se matlab na shaghl-ashghaal se matlab
muraqib apne rahte hain ka kar apni gardan hum
raha karti hain pahron mahw-e-nazzara mein hum apne
sarapa ho rahe hain ab to apne aap darpan hum
hua ai 'faiz' ma'lum ek muddat mein hamein thi wo
japa karte the jis ke nam ki din-raat simran hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.