karen na yaad shab-e-hadisa hua so hua
kareñ na yaad shab-e-hādisa huā so huā
bhulā deñ aao har ik vāqi.a huā so huā
burā huā ki laḌe jāñ-nisār aapas meñ
burā hai aur bhī ye tazkira huā so huā
ġhazab huā ki na.e log aa base dil meñ
bichhaḌnā un se alag sāneha huā so huā
kahāñ kahāñ se na aafat kī āñdhiyāñ aa.iiñ
dayār-e-qalb meñ jo zalzale huā so huā
bahut se kāñTe gire phuul ban ke dāman meñ
guloñ kī zaat se jo fā.eda huā so huā
pahan ke dost bhī nikle libās-e-tanz 'hasan'
vo apnī aan meñ be-qā.ida huā so huā
karen na yaad shab-e-hadisa hua so hua
bhula den aao har ek waqia hua so hua
bura hua ki laDe jaan-nisar aapas mein
bura hai aur bhi ye tazkira hua so hua
ghazab hua ki nae log aa base dil mein
bichhaDna un se alag saneha hua so hua
kahan kahan se na aafat ki aandhiyan aain
dayar-e-qalb mein jo zalzale hua so hua
bahut se kanTe gire phul ban ke daman mein
gulon ki zat se jo faeda hua so hua
pahan ke dost bhi nikle libas-e-tanz 'hasan'
wo apni aan mein be-qaida hua so hua
- Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 175)
- Author : Ahmad Kafeel
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.