karih chehre pe rangin naqab hai goya
karīh chehre pe rangīñ naqāb hai goyā
fareb-e-zindagī aaj ik azaab hai goyā
khulī huī ġham-e-dil kī kitāb hai goyā
ik ā.īna mirī chashm-e-pur-āb hai goyā
bane haiñ chehre nishān-e-savāl jismoñ par
shikast-o-reḳht hī un kā javāb hai goyā
nihāl-e-dard kī shāḳhoñ meñ phuul khilne lage
ḳhayāl-e-yār bhī fasl-e-gulāb hai goyā
mujhe hai 'barq' farāvānī-e-alam hāsil
ye rizq dil ko baġhair-e-hisāb hai goyā
karih chehre pe rangin naqab hai goya
fareb-e-zindagi aaj ek azab hai goya
khuli hui gham-e-dil ki kitab hai goya
ek aaina meri chashm-e-pur-ab hai goya
bane hain chehre nishan-e-sawal jismon par
shikast-o-reKHt hi un ka jawab hai goya
nihaal-e-dard ki shaKHon mein phul khilne lage
KHayal-e-yar bhi fasl-e-gulab hai goya
mujhe hai 'barq' farawani-e-alam hasil
ye rizq dil ko baghair-e-hisab hai goya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.