karishma kya na hua baat kaun si na hui
karishma kyā na huā baat kaun sī na huī
magar charāġh tale raushnī kabhī na huī
koī bhī chuul to sīdhī nahīñ milī us kī
tirā mizāj huā bīsvīñ sadī na huī
vo pyaas thī ki ham apnā lahū bhī pī jaate
ye ittifāq thā us samt fikr hī na huī
jo kaam haath meñ ham ne liyā sire na chaḌhā
jo baat soch ke tum hans diye kabhī na huī
salām-e-shauq har ik raat kī zabān pe thā
sharīk-e-hāl magar koī raat bhī na huī
nigal gayā use merā mizāj-e-tīra-shabī
vo chāñd hī thā magar us se chāñdnī na huī
us āḳhirī tag-o-dau kā bhī hashr dekh liyā
ḳhushī se mil ke bhī 'hairat' koī ḳhushī na huī
karishma kya na hua baat kaun si na hui
magar charagh tale raushni kabhi na hui
koi bhi chul to sidhi nahin mili us ki
tera mizaj hua biswin sadi na hui
wo pyas thi ki hum apna lahu bhi pi jate
ye ittifaq tha us samt fikr hi na hui
jo kaam hath mein hum ne liya sire na chaDha
jo baat soch ke tum hans diye kabhi na hui
salam-e-shauq har ek raat ki zaban pe tha
sharik-e-haal magar koi raat bhi na hui
nigal gaya use mera mizaj-e-tira-shabi
wo chand hi tha magar us se chandni na hui
us aaKHiri tag-o-dau ka bhi hashr dekh liya
KHushi se mil ke bhi 'hairat' koi KHushi na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.